Kaun Log Mubaarak Haiṅ? (Iṅjeel : Mattā 5:1-16)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Kaun Log Mubaarak Haiṅ?

Iṅjeel : Mattā 5:1-16

Jab Īsā(a.s) ke paas bahut saare log āe to wo ek uṅchī jagah par apne shaagirdoṅ ke saath baiṯh gae .(1)

Phir unhone sabko taaleem denā shuru kī aur kahā:(2)

“Mubaarak haiṅ wo log jin kī ruheṅ zaruratmaṅd haiṅ,

kyuṅki Allaah taa’alā kī baadshaahī unheeṅ ke liye hai.(3)

“Mubaarak haiṅ wo log jo ġamgeen haiṅ,

kyuṅki unko sukun atā kiyā jaaegā.(4)

“Mubaarak haiṅ wo log jo narmī aur sabr se kaam lete haiṅ,

kyuṅki un logoṅ ko hī ye duniyā wiraasat me milegī.(5)

“Mubaarak haiṅ wo log jinheṅ nek kaam karne kī bhukh aur pyaas haiṅ,

kyuṅki un logoṅ ko bepnaah atā kiyā jaaegā.(6)

“Mubaarak haiṅ wo log jo raham karte haiṅ,

kyuṅki un par bhī raham kiyā jaaegā.(7)

“Mubaarak haiṅ wo log jo dil ke saaf haiṅ,

kyuṅki wo log Allaah taa’alā ke nur ko dekh leṅge.(8)

“Mubaarak haiṅ wo log jo aman qaayam karte haiṅ,

kyuṅki unheeṅ ko Allaah taa’alā kā sacchā baṅdā kahā jaaegā.(9)

“Mubaarak haiṅ wo log jinko nekī karne kī wajah se takleefeṅ dī gaeeṅ,

kyuṅki Allaah taa’alā kī baadshaahī unke liye hī hai.(10)

“Tum log bhī mubaarak ho jaaoge jab merī wajah se beizztī sahoge, takleefeṅ sahoge aur tum par ilzaam lagaae jaaeṅge.(11) Ḳḥushī manaao kyuṅki jannat me tumhaare liye ek baḍā īnaam hai. Logoṅ ne tumse pahale bhī nabiyoṅ ke saath aisā hī suluk kiyā.(12)

“Tum zameen ke namak ho, lekin agar namak apnā mazā kho de to usko dobaarā namkeen naheeṅ banaayā jā saktā. Namak kā mazā ḳḥatm hone ke baad wo bekaar hai. Usko baahar pheṅk diyā jaatā hai aur log uske upar chalne lagte haiṅ.(13)

“Tum log wo roshnī ho jo duniyā me chamaktī hai. Wo shahar jisko pahaaḍoṅ par basaayā gayā ho usko cẖupaayā naheeṅ jā saktā.(14) Usī tarah se mombattī ko jalā kar neeche naheeṅ cẖupaayā jaatā balki usko uṅchī jagah par rakhā jaatā hai taaki pure ḳḥaandaan ko raushnī mile.(15) Ṯheek usī tarah se tumko bhī logoṅ ke liye mombattī kī tarah chamaknā chaahie. Jab log tumko nek kaam kartā dekheṅge to Allaah rabbul ālameen kī taareef kareṅge, us rab kī jo tumhaarā paalne waalā hai.(16)