Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem
Behatreen Ziṅdagī Kā Nusḳḥā
Zabur 34
Maiṅ hameshā Allaah taa’alā kā shukrguzaar rahuṅgā;
maiṅ kabhī bhī uskī hamd-o-sanā karnā baṅd naheeṅ karuṅgā.(1)
Maiṅ uskī nematoṅ kā shukriyā adā kartā huṅ;
duā kartā huṅ ki jo zulm ke shikaar haiṅ isko sun kar ḳḥush ho jaaeṅ!(2)
Āo mere saath Allaah taa’alā kī azmat kā ailaan kareṅ;
Maine Allaah taa’alā kī ibaadat karī aur usne merī duaaoṅ ko sunā;
Museebat ke sataae hue us se hī madad maaṅgeṅ aur ḳḥush ho jaaeṅge;
Laachaar use hī pukaarte haiṅ aur wo unkī pukaar ko sun letā hai;
Uske farishte un logoṅ kī hifaazat karte haiṅ jo uskī izzat karte haiṅ;
Tum ḳḥud hī bataao ki Allaah taa’alā kitnā accẖā hai.
E Allaah ke bandoṅ, us rab kī izzat karo.
Uskā kahnā maanne waaloṅ kī har zarurat purī hotī hai;(9)
yahaaṅ tak ki sher bhī khaane kī kamī se bhukhā ho jaatā hai,
lekin jo bhī Allaah taa’alā par īmaan rakhtā hai usko kabhī nematoṅ kī kamī naheeṅ hotī.(10)
E mere naujawaan dostoṅ, yahaaṅ āo, merī baat suno,
aur maiṅ tumko sikhaauṅgā ki Allaah taa’alā kī izzat kaise karnī chaahie.(11)
Kyā tum ek behatreen ziṅdagī jeenā chaahte ho?
Kyā tumko lambī umr aur ḳḥushiyaaṅ chaahie?(12)
To phir ġalat bolne se parahez karo,
Buraaī se muṅh moḍ lo aur nek kaam karo;
Allaah taa’alā nek logoṅ kī dekhbhaal kartā hai
aur unkī pukaar ko suntā hai;(15)
lekin Allaah taa’alā ġalat kaam karne waaloṅ ke ḳḥilaaf ho jaatā hai,
Allaah taa’alā nek logoṅ kī pukaar ko suntā hai;
Allaah taa’alā unke qareeb hai jinke hausle past ho chuke haiṅ;
wo unko bachaatā hai jinhone ummeed kā daaman cẖoḍ diyā hai.(18)
Accẖe log bahut pareshaaniyoṅ kā saamnā karte haiṅ;
Allaah taa’alā unkī purī tarah se hifaazat kartā hai;
Buraaī beeemaan logoṅ ko ḳḥatm kar degī;
Allaah taa’alā apne logoṅ ko bachā legā;