Mere Rab Mujhe Badnaamī Se Bachā (Zabur 25)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Mere Rab Mujhe Badnaamī Se Bachā

Zabur 25

 

Yā Allaah, maiṅ apne āpko tere hawaale kartā huṅ.(1)

 

E mere rab, maiṅ tujh par bharosā kartā huṅ, tu mujhe badnaam naheeṅ hone denā.

Mere dushmanoṅ ko mujh par haṅsne kā mauqā n denā.(2)

 

Jo koī bhī tujh par īmaan rakhegā wo kabhī badnaam naheeṅ hogā.

Wahī badnaam hogā jo sirf gunaah kartā hai aur kabhī taubā naheeṅ kartā.(3)

 

Yā Allaah rabbul kareem, mujhe nek raastā dikhā.

Mujhe zindagī ko jeenā sikhā.(4)

 

Mujhe apnī sacchī hidaayat atā kar, e mere parwardigaar,

mujhe nijaat dene waale, maiṅ terī hidaayat kā iṅtazaar karuṅgā.(5)

 

E mere parwardigaar, tu apnī mohabbat aur karam yaad kar.

Jo tune ham par bahut pahale zaahir kiyā thā.(6)

 

Mere gunaahoṅ aur ġalat kaam ko yaad n karnā jo maine jawaanī me kie the.

Lekin mujhe pyaar karnā hameshā yaad rakhnā, kyuṅki tu behatreen hai, e mere rab.(7)

 

Yā Allaah rabbul azeem, tu accẖā aur sacchā hai.

Tu gunaahgaaroṅ ko sach kī taraf le jaatā hai.(8)

 

Tu unko hī sahī raastā dikhaatā hai, jo sahī kaam karne par ġurur naheeṅ karte.

Tu unko apnā seedhā raastā dikhaatā hai.(9)

 

E mere rab, terā raastā pyaarā aur sacchā hai

unke liye jo tujhse kie hue waade par amal karte haiṅ.(10)

 

E mere rab, apne naam kī ḳḥaatir, mere gunaahoṅ ko baḳḥsh de.(11)

 

Allaah rabbul azeem apnī ibaadat karne waale bandoṅ ko

behatreen raaste par le jaaegā.(12)

 

Wo ek behatreen zindagī jiegā aur uske bacche zameen ke waaris hoṅge.(13)

 

Allaah taa’alā apne raaz use bataaegā jo uskī izzat karte haiṅ.

Wo unheṅ apne ahad ke baare me bataaegā.(14)

 

Merī āṅkheṅ hameshā tujhe madad ke liye talaash kartī haiṅ.

Tu mujhe har jaal se bachā legā.(15)

 

Merī taraf dekh aur mujh par nazre karam kar.

Maiṅ akelā huṅ aur bahut takleef me huṅ.(16)

 

Merī mushkileṅ bahut baḍh gaī haiṅ.

Mujhko merī mushkiloṅ se āzaad kar de.(17)

 

Dekh maiṅ kaise museebatoṅ me phaṅsā huā huṅ,

tu mere saare gunaahoṅ ko maaf kar de.(18)

 

Dekh mere dushman kitne zyaadā haiṅ!

Aur dekh wo mujhse kitnī nafrat karte haiṅ!(19)

 

Merī hifaazat kar aur mujhe bachā le.

Maiṅ tujh par bharosā kartā huṅ, mujhe badnaam hone se bachā le.(20)

 

Maiṅ tujhse hī ummeed rakhtā huṅ

taaki nekī aur īmaandaarī merī hifaazat kar sake.(21)

 

Yā Allaah, tu mere mulk ko har mushkil se mahafuz rakh.(22)