Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem
Allaah Kī Madad Ke Liye Shukrguzaarī
Zabur 138
Yā Allaah rabbul kareem, maiṅ pure dil se terā shukriyā adā kartā huṅ;
maiṅ in jhuṯe ḳḥudaaoṅ ke saamne terī azmat ke qaseede paḏhuṅgā.(1)
Maiṅ tere paak muqaamoṅ kī taraf taazeem me jhuktā huṅ.
Tune apnā naam azeem karā hai,
aur apne kalaam ko har cheez se zyaadā izzat baḳḥshī hai.(2)
Jis waqt bhī maine tujhe pukaarā, tune jawaab diyā.
E mere rab, zameen ke saare baadshaah terā shukriyā adā kareṅge,
jab unko patā chalegā ki tune jo kahā thā wo purā ho gayā hai.(4)
Haaṅ! Wo sab tere kamaal ko dekh kar naġmeṅ gaaeṅge.
E Allaah! Tu sabse zyaadā azeem hai.
Tu narm dil waale logoṅ kā ḳḥyaal rakhtā hai,
Jab maiṅ pareshaaniyoṅ se ghirā houṅgā,
to, e mere rab, tu merī madad karegā.
Jab mere dushman mujhse nafrat kareṅge,
E mere rab! Tu har us nemat ko mere paas laaegā jo tune mere liye tay karī hai.
Aur, e mere parwardigaar, terī ye mohabbat hameshā qaayam rahegī.