Khushamadid

أعوذُ بِٱللَّهِ مِنَ ٱلشَّيۡطَٰنِ ٱلرَّجِيمِ

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Auzu bilahi minaash shaitaan ar-raajim.

Bismillah ar-rahamaan ar-raheem.

Allaah ne insaanon ki hidaayat ke liye asmaani kitaaben apne pyaare nabiyon par naazil farmaai thin. Ham sabis baat se waaqif hain ki Quraan Allaah ki bheji hui akhiri kitaab hai.

Isse pahale ki teen paak kitaabon me bhi Quraan ki tarah hidaayat bheji gayi jisko har insaan ke liye padhna zaruri hai.

Musalmaanon ke nuqta nazar se bahut kam Taurait, Zabur, aur Injeel ke tarjume maujud hain. Islie, is website par un teeno kitaabon ki kuch kuch ayaton ka tarjuma Quraan ki raushani me kiya gaya hai.

Ye afsos ki baat hai ki musalmaan ne Taurait, Zabur, aur Injeel ko padhne aur samjhaane ki zimmedaari sirf Isaayon aur Yahudiyon ke haath me chhod di hai. Hamaara in tarjumon ko karne ka khaas maqsad ye hai ki asmaani kitaabon ki hidaayat sab tak pahunchaai ja sake. Inshaallaah hamaari koshish zarur kaamyaab hogi. Ameen.

Īsā(a.s) Ne Bataayā Talaaq Kyā Hai? (Iṅjeel : Mattā 19:1-15)
Nijaat Paane Kā Tareeqā (Iṅjeel : Luqaas 19:1-10)
Allaah Taa’alā Kī Saltanat Kī Misaal (Iṅjeel : Mattā 20:1-34)
Īsā(a.s) Ibaadatgaah Me Āe (Iṅjeel : Mattā 21:12-32)
Jhuṯhe Ilzaam Aur Uskī Sazā (Iṅjeel : Luqaas 23:1-56)
Qayaamat Kī Nishaaniyaaṅ (Iṅjeel : Mattā 24:1-51)
Kyā Ham Īsā(a.s) Ko Pahachaan Paaeṅge? (Iṅjeel : Luqaas 24:1-53)
Insaaf Kā Din (Iṅjeel : Mattā 25:31-46)
Īsā(a.s) Kī Āḳḥrī Daawat (Iṅjeel : Mattā 26:20-46)
Ziṅdā Kī Talaash Qabr Me (Iṅjeel : Mattā 28:1-10)
Duniyā Kī Khilqat (Taurait : Khilqat 1:1-31, 2:1-3)
Peshangoī Sach Huī (Iṅjeel : Shaagirdoṅ Kī 'Amaal 1:3-14)
Qayaamat Se Pahale Kyā Hogā (Iṅjeel : Shaagirdoṅ Kī 'Amaal 2:1-47)
Ādmī, Adan, Aur Aurat (Taurait : Khilqat 2:4-25 )
Shaitaan Kī Chaalbaazī (Taurait : Khilqat 3:1-13)
Allaah Taa’alā Ne Apnā Waadā Purā Kiyā (Iṅjeel : Shaagirdoṅ Kī 'Amaal 3:1-16)
Nijaat Paane Kā Āsaan Tareeqā (Iṅjeel : Yuhannā 3:1-21 )
Naafarmaanī: Allaah Taa’alā Kā Jawaab: Maafī (Taurait : Khilqat 3:14-24)
Haabeel Aur Qaabeel (Taurait : Khilqat 4:1-16)
Shaagirdoṅ Par Yahudiyoṅ Kā Zulm (Iṅjeel : Shaagirdoṅ Kī 'Amaal 4:1-35)
Ziṅdā Paanī (Iṅjeel : Yuhannā 4:5-42)
Allaah Rabbul Ālameen Se Muhabbat Karo (Taurait : Iaadā 6:1-25)
Nuh(a.s) Aur Unkī Kashtī (Taurait : Khilqat 6:5-22)
Janaab Stifanus Kī Shahaadat (Iṅjeel : Shaagirdoṅ Kī 'Amaal 6:7-15, 7:1-60)
Baaḍh Kā Azaab (Taurait : Khilqat 7:1-24)
Pyaar Kā Ahad (Taurait : Iaadā 7:9-12, 8:1-5, 31:24-29)
Ziṅdagī Kā Dariyā (Iṅjeel : Yuhannā 7:37-39 )
Ek Naī Shuruaat (Taurait : Khilqat 8:1-22)
Maafī (Iṅjeel : Yuhannā 8:1-12)
Allaah Taa’alā Kā Nuh(a.s) Se Waadā (Taurait : Khilqat 9:1-17)
Maiṅ Kiskā Charwaahā Huṅ? (Iṅjeel : Yuhannā 10:9-10, 14-18, 24-30)
Īsā(a.s) Kī Maut Par Qudrat (Iṅjeel : Yuhannā 11:1-57)
Yerushalam Me Taaleem (Iṅjeel : Yuhannā 12:1-50)
Ibraaheem(a.s) Aur Unkī Qaum, Nasloṅ Ko Barkat (Taurait : Khilqat 12:1-7)
Maiṅ Kis Me Huṅ (Iṅjeel : Yuhannā 14:12-31)
Aulaad Kā Waadā (Taurait : Khilqat 15:1-7, 13-16)
Accẖī Fasal Kā Īnaam (Iṅjeel : Yuhannā 15:1-17)
Ismaaeel(a.s) Kī Paidaaish (Taurait : Khilqat 16:1-16)
Allaah Taa’alā Ne Ibraaheem(a.s) Se Ek Ahad Kiyā (Taurait : Khilqat 17:1-14)
Ishaaq(a.s) Kī Paidaaish (Taurait : Khilqat 17:15-26; 21:2, 4, 6, 8)
Sabskrayib