Ziṅdagī Kā Dariyā (Iṅjeel : Yuhannā 7:37-39)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Ziṅdagī Kā Dariyā

Iṅjeel : Yuhannā 7:37-39

[Fasah kī eid] kā āḳḥirī din thā, jo ek baḍe jashn aur daawat kā din thā. Us din Īsā(a.s) ne, bheeḍ ke beech me khaḍe ho kar, logoṅ se uṅchī āwaaz me kahā, “Agar koī pyaasā hai, to wo mere paas āe.(37) Jaisā ki Allaah rabbul azeem ne apne kalaam me kahā: Jo mere upar īmaan rakhegā, ‘Uske aṅdar se ziṅdagī kā dariyā bahegā.’”(38) Īsā(a.s) ruhul-qudus ke baare me batā rahe the, ki jo log un par īmaan rakheṅge, to un logoṅ ko wo haasil hogī. Wo paak ruh logoṅ ko us waqt islie naheeṅ milī kyuṅki Īsā(a.s) ko abhī jannat me uṯhaayā naheeṅ gayā thā.(39)