Beej Bone Waale Kī Misaal (Iṅjeel : Muhaafiz 4:2-20)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Beej Bone Waale Kī Misaal

Iṅjeel : Muhaafiz 4:2-20

Īsā(a.s) ne logoṅ ko sikhaane ke liye bahut saarī misaaleṅ dī theeṅ. Unhone kahā,(2) “Ek kisaan beej bone apne khet me gayā.(3) Jab wo beej bo rahā thā to kucẖ beej saḍak ke kinaare gir gae. Chiḍiyaaṅ āeeṅ aur un beejoṅ ko khā gayeeṅ.(4) Kucẖ beej zameen par gire jahaaṅ zyaadā miṯṯī naheeṅ thī. Us halkī miṯṯī me ye beej bahut jaldī ugne lage.(5) Lekin suraj kī garmī se, wo paudhe barbaad ho gae kyuṅki unkī jaḍeṅ bahut gahrī naheeṅ theeṅ.(6) Kucẖ beej kaaṅṯedaar ghaas phuṅs me gire. Wo beej bhī phal phul naheeṅ paae kyuṅki un jhaaḍiyoṅ ne unheṅ jakaḍ liyā.(7) Jo bhī beej accẖī zameen par gire wo phalne phulne lage. Wo baḍe hue aur unse anaaj nikaalā gayā. Kucẖ paudhoṅ ne tees gunā zyaadā anaaj paidā kiyā, kucẖ ne saaṯh aur kucẖ ne sau gunā zyaadā.”(8) Tab Īsā(a.s) ne kahā, “Jo bhī merī baat sun rahā hai wo ise dhyaan se sune aur samjhe!”(9)

Baad me jab, Īsā(a.s) bheeḍ se alag the to unke shaagird unke paas ā kar chaaroṅ taraf baiṯh gae aur unse us misaal ke baare me pucẖā.(10) Īsā(a.s) ne kahā, “Ab tum Allaah taa’alā kī hukumat ke ajuboṅ ko samajhne ke liye taiyaar ho. Maiṅ dusre logoṅ ko kahaanī sunaatā huṅ.(11) Kyuṅki, (nabī Yashaayaah(a.s) ne in logoṅ ke baare me kahā thā):

‘Wo dekhne ke baad bhī usko seekhne kī koshish naheeṅ kareṅge.

Wo sunne ke baad bhī usko samajhne kī koshish naheeṅ kareṅge.

Agar wo log seekh leṅge aur samajh jaaeṅge,

aur phir mere paas āeṅge to unke gunaahoṅ ko maaf kar diyā jaaegā.’”[a](12)

Tab Īsā(a.s) ne apne shaagirdoṅ se kahā, “Kyā tumko is misaal kā matlab samajh me naheeṅ āyā? Agar naheeṅ, to tum aur misaaloṅ kā matlab kaise samjhoge?(13) Kisaan ek ādmī kī tarah hai aur beej Allaah taa’alā ke kalaam kī tarah.(14) Kabhī beej saḍak par gir jaatā hai. Ye un logoṅ kī tarah haiṅ ki jo log Allaah taa’alā ke kalaam ko sunte to haiṅ lekin Shaitaan jaldī se unke diloṅ se use le jaatā hai.(15) Kucẖ log us beej kī tarah hai jisko pathreele maidaan me ugaayā gayā ho. Wo Allaah taa’alā kā kalaam sunte haiṅ aur use jaldī se qubul bhī kar lete haiṅ.(16) Lekin Allaah taa’alā kā kalaam unkī ziṅdagī par gahrā asar naheeṅ ḏaaltā hai. Wo sirf thoḍe waqt ke liye un par asar kartā hai. Lekin jab Allaah taa’alā ke kalaam par amal karne kī wajah se un par koī āfat ā paḍtī hai, to wo fauran laḍakhḍā jaate haiṅ aur wo Allaah taa’alā ke kalaam ko ṯhukrā dete haiṅ.(17)

“Kucẖ log un beejoṅ kī tarah haiṅ ki jinko kaṯeelī jhaaḍiyoṅ me ugaayā gayā ho.(18) Wo Allaah taa’alā kā kalaam sunte to haiṅ lekin unko ziṅdagī kī pareshaaniyaaṅ, izzat-shoharat aur duniyā kī chamak jakaḍ letī hai. Ye saarī cheezeṅ unheṅ Allaah taa’alā ke kalaam se roktī haiṅ.(19)

“Bache hue log un beejoṅ kī tarah haiṅ jinko accẖī zameen me lagaayā gayā. Wo Allaah taa’alā kā kalaam sunte haiṅ aur us par amal bhī karte haiṅ. Wo log us peḍ kī tarah haiṅ jo ḳḥub phalte-phulte haiṅ aur apne se tees gunā, kucẖ saaṯh gunā aur kucẖ sau gunā zyaadā beej paidā karte haiṅ.”(20)