Nek Amal (Iṅjeel : Yuhannā 13:1-20)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Nek Amal

Iṅjeel : Yuhannā 13:1-20

Wo fasah kī eid kā mauqā thā. (Ye wo eid thī jis me Musā(a.s) ke waqt me ek bheḍ kī qurbaanī dī jaatī thī. Ye qurbaanī unko yaad dilaatī thī ki jab Misr par azaab āyā thā to maut kā farishtā unke gharoṅ ke upar se nikal gayā thā aur unkī pahalī aulaadeṅ marne se bach gaeeṅ thī.) Īsā(a.s) jaante the ki wo waqt qareeb ā gayā hai jab unheṅ is duniyā ko cẖoḍ kar Allaah rabbul azeem ke paas lauṯ kar jaanā hai. Wo hameshā se un logoṅ ko pyaar karte the jo is duniyā me unke apne the, aur wo unko āḳḥirī waqt tak pyaar karte raheṅge.(1) JabĪsā(a.s) aur unke shaagird shaam kā khaanā khaane saath baiṯhe to Shaitaan ne unke ek shaagird ke dil me unheṅ dhokā dene kī baat ḏaal dī thī. Us shaagird kā naam Yahudā thā, jo Shamun Iskariyotī kā beṯā thā. Īsā(a.s) ko ye baat patā thī ki Allaah taa’alā ne sab unke iḳḥtiyaar me de diyā hai.(2) Woye bhī jaante the ki wo Allaah taa’alā ke paas se āye haiṅ aur unko waapas usī ke paas jaanā hai.(3) Īsā(a.s) khaane ke beech me hī uṯh khaḍe hue aur apne upar ke kapḍe utaar kar ek taraf rakh die. Unhone ek tauliye ko apnī kamar par lapeṯ kar baaṅdh liyā.(4) Tab unhone ek kaṯore me paanī uṅḏelā aur apne shaagirdoṅ ke pair dhone lage. Unhone unke pairoṅ ko apnī kamar par baṅdhe hue tauliye se pocẖ kar sukhaayā.(5) Īsā(a.s) us shaagird ke paas āe jiskā naam Shamun Patras thā. Usne Īsā(a.s) se pucẖā, “Maalik, kyā āp mere pair bhī dhone jā rahe haiṅ?”(6)

Īsā(a.s) ne jawaab diyā, “Tum abhī naheeṅ samajh paaoge jo maiṅ kar rahā huṅ. Lekin tumko ye amal baad me samajh ā jaaegā.”(7) Patras ne kahā, “Naheeṅ! Āp mere pair kabhī bhī naheeṅ dhoyeṅge.” Īsā(a.s) ne jawaab diyā, “Agar maiṅ tumhaare pair naheeṅ dhouṅgā to tum mere logoṅ me se naheeṅ hoge.”(8) Patras ne jawaab diyā, “Huzur, jab āp mere pair dho chukeṅ, to mere haath aur sar ko bhī dho deejiyegā!”(9) Īsā(a.s) ne jawaab diyā, “Nahaane ke baad, insaan kā purā jism saaf ho jaatā hai aur sirf pair dhone kī zarurat paḍtī hai. Tum logoṅ me se har koī saaf naheeṅ hai.”(10) Īsā(a.s) ko patā thā ki unke saath ġaddaarī kaun karegā. Islie Īsā(a.s) ne kahā thā, “Tum logoṅ me se har koī saaf naheeṅ hai.”(11)

Jab wo un sabke pair dho chuke, to apne kapḍe pahan kar waapas baiṯh gae. Īsā(a.s) ne pucẖā, “Kyā tumheṅ samajh me āyā jo maine abhī tumhaare saath kiyā hai?(12) Tum mujhe ‘Ustaad’ aur ‘Maalik’ pukaarte ho aur ye bilkul sahī hai kyuṅki maiṅ wo hī huṅ.(13) Maiṅ, jo tumhaarā maulā aur ustaad huṅ, usne tumhaare pair dhoe haiṅ. To tum log bhī ek dusre ke pair dhoyā karo.(14) Maine ye islie kiyā taaki tum merī baat ko samjho aur is par amal karo.(15) Maiṅ tumko ek sacchaaī bataatā huṅ, ek naukar apne maalik se baḍā naheeṅ hotā aur ek paiġaam pahuṅchaane waalā usse baḍā naheeṅ hotā jisne use bhejā hai.(16) Agar tum ye sab baateṅ jaante ho, to in par amal karo aur tumko barkat milegī.(17)

“Maiṅ ye baat tum sab logoṅ ke baare me naheeṅ kah rahā huṅ. Maiṅ apne chune hue logoṅ ko jaantā huṅ. Lekin jo muqaddas kitaab me likhā hai wo ho kar hī rahegā: ‘Jis ādmī ne mere saath dastaraḳḥwaan par khaanā khaayā hai, wahī mere ḳḥilaaf ho jaaegā.’(18) Maiṅ tumko ye sab pahale se islie batā rahā huṅ taaki jab ye sab ho, to tum samajh jaao ki maiṅ wahī huṅ.(19) Maiṅ tumko ek haqeeqat bataatā huṅ, jo koī bhī mere bheje hue par īmaan laaegā wo mujh par īmaan laayā aur jo mere upar īmaan laayā to us par bhī īmaan laayā jisne mujhe bhejā hai.”(20)