TZIQ - Taurait, Zabur, Injil, Quran https://www.tziq.org/index.php/ ur-in Yusuf(a.s) https://www.tziq.org/index.php/node/397 Yusuf(a.s) Ibrahim Thu, 21/03/2024 - 19:23

Bab

Ibraaheem(a.s) Se Yaaqub(a.s) Tak (Taurait : Ḳḥilqat 23:1-2, 25:7-10, 35:28-29)

Yusuf(a.s) Kā Misr Kā Safar (Taurait : Ḳḥilqat 37:1-11, 18, 21-36)

Yusuf(a.s) Kī Ġulaamī (Taurait : Ḳḥilqat 39:3-12, 16-23)

Ḳḥwaaboṅ Kī Taabeer (Taurait : Ḳḥilqat 40:1-23, 41:9, 12-27, 33-40, 46-47, 49, 55-57)

Yusuf(a.s) Aur Unke Bhaaī (Taurait : Ḳḥilqat 42:1-3, 6-8, 25, 26; 43:2,19-34; 45:1-11, 25-26a, 28; 46:2-7)

Thu, 21 Mar 2024 13:53:23 +0000 Ibrahim 397 at https://www.tziq.org Ibraaheem(a.s) https://www.tziq.org/index.php/node/394 Ibraaheem(a.s) Ibrahim Thu, 21/03/2024 - 19:17

Bab

Ibraaheem(a.s) Aur Unkī Qaum, Nasloṅ Ko Barkat (Taurait : Ḳḥilqat 12:1-7)

Aulaad Kā Waadā (Taurait : Ḳḥilqat 15:1-7, 13-16)

Ismaaeel(a.s) Kī Paidaaish (Taurait : Ḳḥilqat 16:1-16)

Allaah Taa’alā Ne Ibraaheem(a.s) Se Ek Ahad Kiyā (Taurait : Ḳḥilqat 17:1-14)

Ishaaq(a.s) Kī Paidaaish (Taurait : Ḳḥilqat 17:15-26; 21:2, 4, 6, 8)

Beebī Haajirā Aur Ismaaeel(a.s) (Taurait : Ḳḥilqat 21:9-21)

Ibraaheem(a.s) Kī Qurbaanī (Taurait : Ḳḥilqat 22:1-19)

Ibraaheem(a.s) Se Yaaqub(a.s) Tak (Taurait : Ḳḥilqat 23:1-2, 25:7-10, 35:28-29)

Thu, 21 Mar 2024 13:47:32 +0000 Ibrahim 394 at https://www.tziq.org Duniya ki Shuruaat https://www.tziq.org/index.php/node/393 Duniya ki Shuruaat Ibrahim Thu, 21/03/2024 - 18:07

Bab

Duniyā Kī Ḳḥilqat (Taurait : Ḳḥilqat 1:1-31, 2:1-3)

Ādmī, Adan, Aur Aurat (Taurait : Ḳḥilqat 2:4-25)

Shaitaan Kī Chaalbaazī (Taurait : Ḳḥilqat 3:1-13)

Naafarmaanī: Allaah Taa’alā Kā Jawaab: Maafī (Taurait : Ḳḥilqat 3:14-24)

Haabeel Aur Qaabeel (Taurait : Ḳḥilqat 4:1-16)

Nuh(a.s) Aur Unkī Kashtī (Taurait : Ḳḥilqat 6:5-22)

Baaḍh Kā Azaab (Taurait : Ḳḥilqat 7:1-24)

Ek Naī Shuruaat (Taurait : Ḳḥilqat 8:1-22)

Allaah Taa’alā Kā Nuh(a.s) Se Waadā (Taurait : Ḳḥilqat 9:1-17)

Thu, 21 Mar 2024 12:37:30 +0000 Ibrahim 393 at https://www.tziq.org नेक बनो (इंजील : कुलुस्सियों 3:1-17) https://www.tziq.org/index.php/node/392 Nek Bano (Iṅjeel : Kulussiyoṅ 3:1-17) Ibrahim Mon, 18/09/2023 - 15:55

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Nek Bano

Iṅjeel : Kulussiyoṅ 3:1-17

Tumko bhī Īsā(a.s) ke saath naī ziṅdagī atā kī gaī hai, to tum bhī jannat kī cheezoṅ kī ḳḥwaahish karte rahā karo. Usī jagah par Īsā(a.s) Allaah ke paas maujud haiṅ.(1) Un cheezoṅ se apnā dil lagaao jo jannat me haiṅ nā ki is duniyā kī cheezoṅ se.(2) Tumhaarā puraanā wajud jo gunaahgaar thā wo mar gayā hai, aur tumheṅ naī ziṅdagī Īsā(a.s) se milī, jinke paas Allaah taa’alā kī qudrat hai.(3) Īsā(a.s) hamaarī ziṅdagī haiṅ, aur wo jab dobaarā āeṅge, tum bhī unkī azmat me hissedaar hoge.(4)

Islie socho ki tumhaarā jism is duniyā kī shaitaanī ḳḥwaahishoṅ ke liye mar chukā hai. To tum log shaitaanī ḳḥwaahishaat se, badkaarī se, zinā se dur haṯo, gaṅde kaam aur burī ḳḥwaahishaat rakhnā cẖoḍ do. Hameshā zyaadā kī ḳḥwaahish mat karo aur laalach cẖoḍ do, kyuṅki ye butoṅ ke pujne jaisā kaam hai.(5) Inheeṅ bure kaamoṅ kī wajah se Allaah taa’alā kā azaab un par naazil hotā hai, jo kahnā naheeṅ maante.(6) Pahale tum log bhī isī tarah se ziṅdagī guzaarte the aur bure kaam aṅjaam dete the.(7) Lekin, ab tum ko in sab cheezoṅ ko apnī ziṅdagī se baahar nikaalo: Gussā, jhuṅjhalaahaṯ, dusroṅ ko nuqsaan pahuṅchaanā, yā unke raaz kholnā. Jab tum baat karo to gaṅde alfaazoṅ kā istemaal karnā cẖoḍ do.(8) Ek dusre se jhuṯ mat bolo kyuṅki ab tum apne puraane wajud ko nikaal kar pheṅk chuke ho jo tumhaare bure kaamoṅ kī wajah se barbaad ho chukā thā.(9) Aur apne nae wajud ko amal me laao, jo tumne Allaah taa’alā kī haqeeqat ko samajh kar haasil kiyā hai. Is tarah tum uske jaise ho jaaoge.(10) Is naī ziṅdagī me Yahudī aur ġair-Yahudī logoṅ me koī farq naheeṅ hai. Un logoṅ me bhī koī fark naheeṅ hai jinhone ḳḥatnā karaayī yā naheeṅ karaayī, yā wo log jo dusrī jagaahoṅ se āe haiṅ. Ġulaam aur āzaad logoṅ me koī fark naheeṅ, kyuṅki sabse zarurī baat ye hai ki Īsā(a.s) har ek ke liye haiṅ.(11)

Allaah taa’alā ne tumheṅ chunā hai, taaki tum uskī nek qaum kahalaao, kyuṅki wo tumse mohabbat kartā hai. Islie hameshā dusroṅ par raham karo, meharbaanī karo, narmī se pesh āo, shareef bano, aur sabr karo.(12) Ek dusre par ġussā nā karo, balki ek dusre ko maaf kar do. Jo bhī kisī dusre kī shikaayat kartā hai to use maaf kar denā chaahie. Tum dusroṅ ko usī tarah se maaf kar do ki jaise Allaah taa’alā tumheṅ kartā hai.(13) Ye sab karo, lekin ek cheez bahut zarurī hai; aur wo hai ek dusre se pyaar. Pyaar hī wo cheez hai jo tumko ek dusre se joḍ kar rakhtā hai.(14) Tum apne diloṅ me al-Maseeh Īsā kī mohabbat rakho. Haqeeqat me, Allaah taa’alā ne tum ko ek banā kar bhejā hai, to tum uskā shukriyā adā karte rahā karo.(15)

Īsā(a.s) kī taaleem kā asar tum par hameshā rahnā chaahie. Tum aqlmaṅdī se dusroṅ kī ġaltiyoṅ ko sudhaaro aur ek dusre ko Zabur shareef kī taaleem sikhaao. Tum Allaah rabbul kareem kā dil se shukriyā adā karo aur uskī hamd-o-sanā karo.(16) Tum jo bhī karo yā bolo, usmeṅ Īsā(a.s) kī taaleem nazar ānī chaahie aur uske zarie Allaah taa’alā kā shukr adā karo.(17)

Daunlod

Nek Bano (Iṅjeel : Kulussiyoṅ 3:1-17).pdf

Iṅjeel

Kulussiyoṅ

Mon, 18 Sep 2023 10:11:36 +0000 Ibrahim 392 at https://www.tziq.org किसकी दुआ क़ुबूल हुई (इंजील : लुक़ास 18:9-17) https://www.tziq.org/index.php/node/391 Kiskī Duā Qubul Huī (Iṅjeel : Luqaas 18:9-17) Ibrahim Mon, 03/07/2023 - 14:42

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Kiskī Duā Qubul Huī

Iṅjeel : Luqaas 18:9-17

Īsā(a.s) ne ye waaqyā un logoṅ ko sunaayā jo apnī baḍaaī karte the aur dusroṅ ko neechā samajhte the:(9)

“Do log ibaadatgaah me ibaadat karne gae. Unmeṅ se ek bahut hī zyaadā deendaar thā jo shareeyat par amal kartā thā aur dusrā ādmī beeemaan thā jo sarkaarī ṯaiks kī wasulī kartā thā.(10) Jab īmaandaar iṅsaan ibaadat karne khaḍā huā to usne is tarah se duā maaṅgī: ‘E mere rab, maiṅ terā shukr adā kartā huṅ ki maiṅ auroṅ ke jaisā naheeṅ huṅ. Maiṅ un beeemaan logoṅ me se naheeṅ huṅ jo chorī karte haiṅ, dhokā dete haiṅ, yā zinā karte haiṅ. Maiṅ terā shukr adā kartā huṅ ki maiṅ in ṯaiks wasulī karne waale se behatar huṅ.(11) Maiṅ hafte me do din rozā rakhtā huṅ, aur apnī har cheez me se daswaaṅ hissā ḳḥairaat kar detā huṅ.’(12)

“Ṯaiks kī wasulī karne waalā dur par hī khaḍā rahā aur jab usne ibaadat karī, to usne duā maaṅgte waqt apnā sar sharm se jhukaae rakhā. Usne apne seene ko peeṯnā shuru kiyā aur bolā, ‘E mere rab! Mere upar raham kar. Maiṅ ek gunaahgaar baṅdā huṅ!’”(13)

Tab Īsā(a.s) ne kahā, “Maiṅ tumheṅ bataatā huṅ, jab ye iṅsaan ghar waapas gayā to Allaah rabbul kareem ne isko maaf kar diyā, lekin jo deendaar iṅsaan thā usko maafī naheeṅ milī. Jo bhī iṅsaan apne āpko azeem banaanā chaahegā to Allaah taa’alā usko neeche jhukā degā aur jo log neeche jhuk kar raheṅge to wo unko azeem banā degā.”(14)

Kucẖ log apne bacchoṅ ko Īsā(a.s) ke paas le kar āe taaki wo unheṅ pyaar kareṅ. Jab unke shaagirdoṅ ne ye dekhā, to unhone logoṅ se kahā ki aisā nā kareṅ.(15) Lekin Īsā(a.s) ne un cẖoṯe bacchoṅ ko apnī taraf bulaayā aur kahā, “In cẖoṯe bacchoṅ ko mere paas āne do. Inheṅ nā roko, kyuṅki Allaah taa’alā kī saltanat unheeṅ logoṅ ke liye hai jo in cẖoṯe bacchoṅ ke jaise haiṅ.(16) Haqeeqat ye hai ki jo bhī iṅsaan Allaah taa’alā kī saltanat ko in bacchoṅ kī tarah qubul naheeṅ karegā, to wo usmeṅ daaḳḥil naheeṅ ho paaegā.”(17)

Daunlod

Kiskī Duā Qubul Huī (Iṅjeel : Luqaas 18:9-17).pdf

Iṅjeel

Luqaas

Mon, 03 Jul 2023 09:12:13 +0000 Ibrahim 391 at https://www.tziq.org नेक बीबियाँ (इंजील : लुक़ास 1:26-56) https://www.tziq.org/index.php/node/390 Nek Beebiyaaṅ (Iṅjeel : Luqaas 1:26-56) Ibrahim Mon, 22/05/2023 - 14:07

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Nek Beebiyaaṅ

Iṅjeel : Luqaas 1:26-56

Beebī Elishibā jab haamilā theeṅ to shuru ke cẖah maheene ke dauraan Allaah taa’alā ne apne farishte Jibraaeel(a.s) ko ek kuṅwaarī paakdaaman laḍkī ke paas bhejā jo Naazreth shahar ke Galeel naam kī jagah par rahtī thī. Us laḍkī kī shaadī janaab Yusuf naam ke ek ādmī se tay huī thī jo Daaud(a.s) ke ḳḥaandaan se the. Us paakdaaman laḍkī kā naam beebī Maryam thā.(26-27) Farishtā unke paas āyā aur kahā, “Mubaarak ho! Allaah taa’alā ne āpko barkat dī hai aur wo āp par meharbaan hai.”(28) Lekin beebī Maryam ye baat sun kar pareshaan ho gaeeṅ aur soch me paḍ gaeeṅ, “Is baat kā kyā matlab hai?”(29)

Farishte ne unse kahā, “Ghabaraaie naheeṅ. Ye islie hai kyuṅki Allaah rabbul azeem āpse bahut ḳḥush hai.(30) Sunie! Āp haamilā hoṅgī aur ek laḍke ko paidā kareṅgī. Us laḍke kā naam āp Īsā rakhiegā.(31) Wo itnā zyaadā azeem hogā ki log kaheṅge ki wo sabse azeem baadshaah kā waaris hai. Allaah taa’alā use usī ke buzurg, baadshaah Daaud, kī baadshaahī atā karegā.(32) Wo hameshā Ibraaniyoṅ par hukumat karegā aur uskī baadshaahī kabhī bhī ḳḥatm naheeṅ hogī.”(33)

Beebī Maryam ne farishte se kahā, “Ye sab kaise hogā? Maiṅ to ek kuṅwaarī laḍkī huṅ.”(34) Farishte ne beebī Maryam se kahā, “Allaah rabbul ālameen apnī ruh aur qudrat se ye karegā. Islie, ye bacchā jab paidā hogā to log usko Ādam kī tarah samjheṅge,[a] jisko Allaah taa’alā ne ḳḥud banaayā, aur Allaah taa’alā kā paak Maseehā kahalaaegā.(35) Sunie! Beebī Elishibā, āpkī rishtedaar, jiske baare me log kahte the ki wo baaṅjh hai, wo bhī cẖah maheene se haamilā hai.(36) Allaah rabbul ālameen ke liye kucẖ bhī naamumkin naheeṅ!”(37) Beebī Maryam ne farishte se kahā, “Maiṅ Allaah taa’alā kī ḳḥidmat me haazir huṅ. Maiṅ duā kartī huṅ ki aisā hī ho jaisā āp kah rahe haiṅ!” Aur phir farishtā wahaaṅ se chalā gayā.(38)

Phir beebī Maryam jaldī se taiyaar hokar apne kasbe me gaeeṅ jo mulk Yahudiyā me thā.(39) WoZakriyā(a.s) ke ghar gaeeṅ aur wahaaṅ jā kar beebī Elishibā ko mubaarakabaad pesh karī.(40) Jab beebī Elishibā ne beebī Maryam kī mubaarakabaad ko sunā to unke peṯ me jo bacchā thā wo ucẖlā aur beebī Elishibā Allaah taa’alā ke nur se roshan ho gaeeṅ.(41) Wo bahut tez āwaaz me ḳḥush hokar boleeṅ, “Allaah taa’alā ne āpko sab auratoṅ se zyaadā barkat dī hai aur wo bacchā bhī barkat paaegā jise āp paidā kareṅgī.(42) Āp hamaare Maseehā kī maaṅ haiṅ aur mere paas yahaaṅ āī haiṅ! Kyā maiṅ itnī ḳḥushnaseeb huṅ?(43) Jab maine āpkī āwaaz sunī, to peṯ me merā bacchā ḳḥushī se ucẖal paḍā.(44) Allaah taa’alā ne āpko barkat dī hai kyuṅki āp ne uske kalaam par yaqeen kiyā thā.”(45)

Ye baateṅ sun kar beebī Maryam ne kahā,

“Merī ruh Allaah taa’alā kī taareef kartī hai,(46)

mere dil ko sukun hai kyuṅki merā rab merā madadgaar hai.(47)

“Maiṅ Allaah taa’alā kī naacheez baṅdī huṅ, lekin phir bhī wo merī himaayat kartā hai.

Aur ab, saarī nasleṅ mujhe mubaarak kaheṅgī,(48)

kyuṅkiAllaah rabbul azeem ne mere liye baḍā kaam kiyā hai.

Uskā naam paak hai.(49)

“Allaah rabbul kareem hameshā raham kartā hai,

un logoṅ par jo us par yaqeen rakhte haiṅ,

unkī aulaadoṅ par aur unkī āne waalī nasloṅ par.(50)

“Allaah taa’alā kī qudrat ne baḍe-baḍe kaam kie haiṅ.

Usne un logoṅ ko bhaṯkā diyā

jo ḳḥud par ġurur karte the aur apne baare me baḍī-baḍī baateṅ karte the.(51)

“Allaah taa’alā ne zaalim baadshaahoṅ ko unke taḳḥt se utaar pheṅkā,

aur rahamdil logoṅ ko baadshaah banā diyā.(52)

“Allaah rabbul kareem bhukhoṅ ko nemateṅ dene waalā hai

aur wo ameeroṅ ko ḳḥaalī haath lauṯā detā hai.(53)

“Ibraaniyoṅ me se jisne Allaah taa’alā kī ḳḥidmat karī, wo usī kī madad kartā hai.

Wo karam karnā kabhī naheeṅ bhultā.(54)

“Usne hameshā Ibraaheem(a.s) par aur unkī aulaadoṅ par karam karā,

jaisā ki usne unke buzurgoṅ se waadā kiyā thā.”(55)

Beebī Maryam beebīElishibā ke paas teen maheene raheeṅ aur phir apne ghar waapas lauṯ āeeṅ.(56)

[a] Quraan Majeed : Ale-Imraan 3:59

Daunlod

Nek Beebiyaaṅ (Iṅjeel : Luqaas 1:26-56).pdf

Luqaas

Mon, 22 May 2023 08:37:01 +0000 Ibrahim 390 at https://www.tziq.org तुम्हारे लिए क्या तय हुआ? (तौरैत : यरमियाह 29:11-13) https://www.tziq.org/index.php/node/389 Tumhaare Liye Kyā Tay Huā? (Taurait : Yaramiyaah 29:11-13) Ibrahim Wed, 19/04/2023 - 10:36

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Tumhaare Liye Kyā Tay Huā?

Taurait : Yaramiyaah 29:11-13

Allaah rabbul azeem ne kahā, “Maiṅ jaantā huṅ ki maine tumhaare liye kyā tay kiyā hai. Maiṅ hameshā tumhaarī bhalaaī hī kartā huṅ aur tumheṅ kabhī takleef denā naheeṅ chaahtā. Maiṅ tumheṅ ummeed aur ek accẖā mustaqbil atā karuṅgā.(11) Tab tum merā naam pukaaroge. Mere qareeb ā jaaoge aur ibaadat karoge aur maiṅ tumhaarī duaaoṅ ko sunuṅgā.(12) Tum mujhe ḏhuṅḏhoge. Jab tum sacche dil se merī talaash karoge, to tum mujhe ḏhuṅḏh loge!”(13)

Daunlod

Tumhaare Liye Kyā Tay Huā? (Taurait : Yaramiyaah 29:11-13).pdf

Taurait

Yaramiyaah

Wed, 19 Apr 2023 05:06:47 +0000 Ibrahim 389 at https://www.tziq.org इब्रानियों से अहद (तौरैत : हिजरत 19:1-9, 20:1-21) https://www.tziq.org/index.php/node/386 Ibraaniyoṅ Se Ahad (Taurait : Hijrat 19:1-9, 20:1-21) Ibrahim Fri, 17/02/2023 - 16:36

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Ibraaniyoṅ Se Ahad

Taurait : Hijrat 19:1-9, 20:1-21

Misr se faraar hone ke ṯheek teen maheenoṅ ke baad wo log sine ke registaan me pahuṅche.(1) Un logoṅ ne apnā safar rapheedeem naam kī jagah se shuru kiyā aur āḳḥir me sine ke registaan pahuṅch kar pahaaḍoṅ me apnā ḏerā ḏaalā.(2) Musā(a.s) Allaah taa’alā se baat karne pahaaḍ par gae aur Allaah taa’alā ne Musā(a.s) se kahā, “Ye mere alfaaz haiṅ aur tum inko Yaaqub(a.s) kī aulaadoṅ ko pahuṅchaao:(3) Tum sab ne apnī āṅkhoṅ se dekhā hai ki maine Misriyoṅ ke saath kyā kiyā hai, aur kis tarah se tumhaarī dekhbhaal karī. Maiṅ tumko āzaad kar ke apne paas laayā, jaise cheel[a] apne paroṅ se uḍtī ho.(4) Agar tum log merī har baat maanoge jo maiṅ tumse kahuṅgā aur us waade ko naheeṅ toḍoge, to tum mere liye bahut ḳḥaas hoge. Ye saarī duniyā merī hai.(5) Aur tum mere liye duniyā me deen kī rahanumaaī karoge aur paak log hoge. E Musā! Ye merā kalaam hai aur tum isko Yaaqub kī aulaadoṅ tak zarur pahuṅchaao.”(6)

Musā(a.s) waapas gae aur saare rahanumaaoṅ ko ek saath bulaayā aur Allaah taa’alā ke hukm ke mutaabiq kalaam sunaayā.(7) Saare logoṅ ne ek saath jawaab diyā, “Ham sab log wahī kareṅge jo Allaah taa’alā hamse chaahtā hai.” To Musā(a.s) logoṅ ke jawaab ko bataane ke liye Allaah taa’alā ke paas waapas gae.(8) Allaah taa’alā ne kahā, “Maiṅ tumse ghane baadloṅ me se baat karuṅgā taaki jab maiṅ tumse baat karuṅ to log bhī usko sune aur is tarah se wo log tum par hameshā yaqeen kareṅge.” Phir Musā(a.s) ne Allaah taa’alā ko wo sab bataayā jo logoṅ ne unse kahā thā.(9)

Allaah Taa’alā Ke Das Qaanun

20:1-21

Allaah taa’alā ne logoṅ ke liye ye hukm jaarī kiyā,(1) “Maiṅ tumhaarā rab huṅ, wo ḳḥudā jiskī tum ibaadat karte ho, jisne tumko Misr kī ġulaamī se cẖuṯkaarā dilaayā.(2) Tumko mere alaawā kisī aur kī ibaadat naheeṅ karnī chaahie.(3) Tumheṅ apne liye āsmaan, zameen, yā samaṅdar kī kisī bhī cheez kī shakl kā but naheeṅ banaanā chaahie.(4) Tum nā hī us but ko sajdā karnā aur nā hī uskī ibaadat, kyuṅki maiṅ tumhaarā rab huṅ. Sirf maiṅ hī huṅ aur mujhe pasaṅd naheeṅ ki tum kisī aur kī ibaadat karo. Maiṅ un nasloṅ ko sazā duṅgā jinkī teen yā chaar peeḍheeyoṅ ke baap-daadā mujhse nafrat karte the.(5) Lekin merī rahamat aur barkat un logoṅ kī hazaar pushtoṅ tak jaaegī jo mujhse mohabbat karte haiṅ aur merā kahnā maante haiṅ.[b](6) Tum mere naam kā kabhī ġalat istemaal mat karnā kyuṅki maiṅ us iṅsaan ko sazā zarur duṅgā.(7)

“Tum log har hafte me ek din ko apne āraam ke liye zarur rakhnā.(8) Tum cẖah dinoṅ tak har tarah kā kaam karnā,(9) lekin saatwaaṅ din tum mere liye ḳḥaas rakhnā. Tum us din koī bhī kaam naheeṅ karnā. Ye baat har kisī par laagu hotī hai, tumhaare beṯe-beṯiyoṅ par, tumhaare mard aur aurat naukroṅ par, tumhaare jaanwaroṅ par, yahaaṅ tak ki un mehamaanoṅ par bhī jo tumhaare yahaaṅ ruke hue hoṅ.(10) Ye tum islie karoge kyuṅki maine un cẖah dinoṅ me zameen, āsmaan, samaṅdar, aur uske aṅdar kī saarī cheezoṅ ko banaayā thā, aur phir saatweṅ din duniyā banaane kā kaam baṅd kiyā. Islie maine saatweṅ din ko barkat dī hai aur use ek paak din banaayā hai.(11)

“Tum apne maaṅ-baap kī izzat karnā aur maiṅ tumko uske badle me ek lambī umr atā karuṅgā.(12)

“Kisī kā ḳḥun mat bahaanā.(13)

“Zinā[c] nā karnā.(14)

“Chorī mat karnā.(15)

“Tum apne paḍosī ke ḳḥilaaf kabhī jhuṯī gawaahī mat denā.(16)

“Tum kabhī dusroṅ ke ghar kī, uskī beewī kī, yā uske naukroṅ kī ḳḥwaahish mat karnā. Tum uskī gaay yā gadhe kī ḳḥwaahish mat karnā aur nā hī us cheez kī ḳḥwaahish karnā jo tumhaarī naheeṅ hai.”(17)

Jab logoṅ ne bijlī ko chamakte dekhā, baadal garajne kī āwaaz ko sunā, aur pahaaḍ se dhuṅā nikalte dekhā to wo sab bahut ḏar gae.(18) Un logoṅ ne pahaaḍ ke paas jaane se manā kar diyā aur Musā(a.s) se kahā, “Āp hamse baat karie aur ham āpkī baat suneṅge lekin Allaah taa’alā se kahie ki hamse aise baat nā kareṅ, warnā ham mar jaaeṅge.”(19) Musā(a.s) ne logoṅ se kahā, “Ghabraao naheeṅ, Allaah rabbul kareem tum logoṅ kā imtihaan le rahā hai, taaki tum usse ḏaro aur gunaahoṅ se hameshā dur raho.”(20) Wolog waheeṅ par ruke rahe tab Musā(a.s) us ghane baadal kī taraf baḍhe jahaaṅ se wo āwaaz ā rahī thī.(21)

[a] Iskā matlab ye hai ki Allaah taa’alā ne unko ek cheel kī tarah āzaad kiyā jo āsmaan me āzaad uḍtī hai aur koī us tak naheeṅ pahuṅch saktā.

[b] Har ādmī apne gunaah kā zimmedaar hai lekin unke baap-daadā ne jo bhī gunaah kiye haiṅ to unkī pushtoṅ par bhī wo asar ḏaalte haiṅ. Isī wajah se unkī aulaadeṅ bhī sazaawaar ho jaatī haiṅ.

[c] Binā shaadī kisī ke saath jismaanī taalluqaat rakhnā.

Daunlod

Ibraaniyoṅ Se Ahad (Taurait : Hijrat 19:1-9, 20:1-21).pdf

Taurait

Hijrat

Fri, 17 Feb 2023 10:52:22 +0000 Ibrahim 386 at https://www.tziq.org मैं भेड़ और तू मेरा चरवाहा (ज़बूर 23) https://www.tziq.org/index.php/node/385 Maiṅ Bheḍ Aur Tu Merā Charwaahā (Zabur 23) Ibrahim Thu, 18/03/2021 - 20:21

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Maiṅ Bheḍ Aur Tu Merā Charwaahā

Zabur 23

Allaah taa’alā merā charwaahā[a] hai,

islie mere paas har wo cheez hai jiskī mujhe zarurat hai.(1)

Womujhe hariyaalī me āraam karaatā hai,

aur mujhe us jagah par le kar jaatā hai jahaaṅ maiṅ sukun se paanī pī saktā huṅ.(2)

Womerī ruh ko taazā kar detā hai,

wo mujhe, apne naam kī izzat ke liye, nekī ke raaste par le kar jaatā hai.(3)

Agar maiṅ chal kar gayā, kisī aṅdherī ghaaṯī me,

to mujhe kisī bhī cheez se ḏar naheeṅ lagegā,

kyuṅki tu hai, mere saath, yā Allaah rabbul azeem.

Terā charwaahoṅ waalā ḏaṅḏā mujhe raastā dikhaatā hai jisse mujhe sukun miltā hai.(4)

Tune mujhe accẖā khaanā diyā,

mere dushmanoṅ ke saamne.

Tune apnī rahamat mere upar uṅḏel dī;

tune itnā diyā ki mere liye bahut hai.(5)

Sach hai ki terī accẖaaī aur raham dilī mere saath saarī umr rahegī

aur maiṅ tere ghar me hameshā rahuṅgā.(6)

[a] Daaud(a.s), ek charwaahe ke taur par, bheḍeṅ charaayā karte the. Aur jab wo bheḍ charaane jaate the to Allaah taa’alā kī shaan me hamd gungunaayā karte the. Ye wo hamd hai jismeṅ wo Allaah taa’alā ko ek sabse accẖā charwaahā aur ḳḥud ko wo ek bheḍ kah rahe haiṅ jo apne charwaahe se bahut ḳḥush hai. Wo Allaah kī hamd-o-sanākar rahe haiṅ aur kah rahe haiṅ, “Allaah rabbul ālameen ne (ek behatreen charwaahe kī tarah) mujhe (ek bheḍ ko) wo sab diyā hai jo (ek bheḍ ko) mujhe chaahie.”

Daunlod

Maiṅ Bheḍ Aur Tu Merā Charwaahā (Zabur 23).pdf

Zabur

Thu, 18 Mar 2021 14:47:18 +0000 Ibrahim 385 at https://www.tziq.org सबसे बेहतरीन और पाक इबादत (इंजील : याक़ूब 1:1-27) https://www.tziq.org/index.php/node/384 Sabse Behatreen Aur Paak Ibaadat (Iṅjeel : Yaaqub 1:1-27) Ibrahim Thu, 18/03/2021 - 20:21

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Sabse Behatreen Aur Paak Ibaadat

Iṅjeel : Yaaqub 1:1-27

Janaab Yaaqub ne, jo Allaah rabbul azeem aur Īsā(a.s) ke ḳḥidmatgaar the, purī duniyā me phaile hue Allaah ke bandoṅ ko salaam kahā.(1) Aur kahā:

Mere bhaaeeyoṅ aur bahanoṅ, tum mushkil me bhī ḳḥush rahā karo.(2) Kyuṅki tum ye jaante ho mushkileṅ tumhaare īmaan kā imtihaan letī haiṅ, aur tumheṅ mazbut banne me madad kartī haiṅ.(3) Apnī lagaataar mehanat se accẖaaī ko haasil karo. Ye tumko purī tarah se behatreen banā degī aur tumhaarī har zarurat ko purā karegī.(4) Lekin agar tumheṅ aqlmaṅdī kī zarurat hai to wo tum allah taa’alā se maaṅgo. Jo bhī us rab se aqlmaṅdī maaṅgtā hai use wo dariyaadilī se atā kartā hai. Wo kisī bhī maaṅgne waale ko kabhī maayus naheeṅ kartā.(5) Lekin tum Allaah taa’alā par īmaan rakh kar maaṅgo; aur tumhaare dil me koī shak naheeṅ honā chaahie. Jo shak kartā hai to wo samaṅdar me ek lahar kī tarah hai, jisko hawā dhakkā de kar ucẖaal detī hai.(6) Is tarah ke iṅsaan ko ye soch lenā chaahie ki use Allaah rabbul kareem se kucẖ haasil naheeṅ hogā.(7) Jo shak kartā hai wo kabhī koī faislā naheeṅ kar paatā aur laḍakhaḍaatā rahtā hai.(8)

Ek īmaan waale ġareeb iṅsaan ko apne uṅche maqaam par fakr karnā chaahie.(9) Aur ek ameer iṅsaan ko Allaah taa’alā kā shukr adā karnā chaahie ki jab Allaah taa’alā usko jhukā de aur uske dil me ehasaas paidā kare ki ek din wo bhī ghaas me uge ek phul kī tarah hī ḳḥatm ho jaaegā.(10) Suraj ke ugne se garam hawā chaltī hai aur ghaas sukh jaatī hai. Ghaas me uge ḳḥubsurat phul ṯuṯ kar gir jaate haiṅ aur barbaad ho jaate haiṅ. Isī tarah se ek ameer ādmī apne roz ke kaam karte-karte is duniyā se chalā jaaegā.(11)

Wo kitnā ḳḥush naseeb hai jo museebat me bhī himmat se kaam letā hai. Jab wo iṅsaan apnā īmaan saabit kar detā hai to allah taa’alā usko kabhī nā ḳḥatm hone waalī ziṅdagī atā kartā hai. Allaah taa’alā ne har us iṅsaan ko ziṅdagī dene kā waadā kiyā hai jo usse mohabbat kartā hai.(12)

Jab koī iṅsaan bahak jaae to wo kabhī nā kahe, “Parwardigaar mujhe bahkā rahā hai.” Naheeṅ! Allaah rabbul kareem kabhī kisī ko naheeṅ bahakaatā aur nā hī Shaitaan usko bahkā saktā hai.(13) Iṅsaan us waqt bahaktā hai jab wo apnī ḳḥwaahishoṅ ko purā karne ke liye ġalat raaste par chalne lagtā hai.(14) Jab iṅsaan ke dimaaġ me burī ḳḥwaahish apnā ghar banā letī hai to phir wo gunaah ko paidā kartī hai aur jab wo gunaah baḍhtā hai to phir wo use maut kī taraf le jaatā hai.(15)

Mere azeez bhaaiyoṅ aur bahanoṅ, tum ġalat raaste par mat chalo.(16) Har accẖā aur behatreen tohfā us parwardigaar kī taraf se hī ātā hai jo roshnī ko banaane waalā hai. Allaah taa’alā nā hī badaltā hai aur nā hī parcẖaaī kī tarah chaaroṅ taraf ghumtā hai.(17) Allaah rabbul azeem ne hameṅ sacche kalaam ke zariye ziṅdagī atā karī hai. Ham log uskī maḳḥluq kī ziṅdā misaal haiṅ.(18)

Suno, mere bhaaeeyoṅ aur bahanoṅ! Hameshā jaldī suno aur āraam se bolo. Bahut jaldī se naaraaz nā ho.(19) Iṅsaan kā ġussā usko iṅsaaf karne se roktā hai.(20) To har tarah ke gunaah aur buraaī se ḳḥud ko dur kar lo. Faḳḥr nā karo balki Allaah taa’alā ke kalaam ko apne diloṅ me basā lo kyuṅki is kalaam me tumhaarī ruh ko bachaane kī taaqat hai.(21)

Saabit karo ki tum wo iṅsaan ho jo Allaah taa’alā ke kalaam par amal kartā hai; un logoṅ kī tarah nā bano jo sunte haiṅ, lekin amal naheeṅ karte. Wo apne āpko dhokā de rahe haiṅ.(22) Allaah taa’alā ke kalaam ko sun kar us par amal nā karne waalā iṅsaan aisā hai ki jaise usne apne chehre ko āeene me dekhā.(23) Wo apnā chehrā āeene me dekhtā hai, phir apnī nazar haṯte hī bhul jaatā hai ki wo kaisā dikhtā thā.(24) Lekin sach me wahī iṅsaan ḳḥush hai jo Allaah taa’alā ke kalaam ko bahut dhyaan se paḍhtā hai. Sirf un logoṅ ko āzaadī miltī hai jo Allaah taa’alā ke kalaam par amal karte haiṅ aur usī ke mutaabiq zindagī guzaarte haiṅ. Jo iṅsaan kalaam ko sun kar use kabhī naheeṅ bhultā, aur us par amal kartā hai, to usmeṅ use barkat haasil hotī hai.(25)

Ek iṅsaan ḳḥud ko deendaar samajhtā hai, lekin agar wo apnī zabaan par qaabu naheeṅ rakh saktā to wo apne āpko dhokā de rahā hai. Uske mazhab kā koī faaydā naheeṅ.(26) Sabse behatreen aur paak mazhab, jisko hamaarā parwardigaar pasaṅd kartā hai, wo ye hai: Pareshaan haal yateem bacchoṅ aur bewaaoṅ kī dekhbhaal karnā; aur apne āpko duniyā kī chamak se bachaanā.(27)

Daunlod

Sabse Behatreen Aur Paak Ibaadat (Iṅjeel : Yaaqub 1:1-27).pdf

Iṅjeel

Yaaqub

Thu, 18 Mar 2021 14:47:13 +0000 Ibrahim 384 at https://www.tziq.org