Kalaam Kī Taaqat (Taurait : Yashaayaah 55:1-3, 6-13)

Bismillaah-Hir-Rahamaanir-Raheem

Kalaam Kī Taaqat

Taurait : Yashaayaah 55:1-3, 6-13

Āo, tum me se jo bhī pyaasā hai,

paanī ke paas āo;

aur jiske paas paise naheeṅ haiṅ,

wo log āo aur ḳḥareed kar khaao!

Āo, aur ā kar aṅgur aur dudh ḳḥareedo.

Binā paisā ḳḥarch kiye hue.(1)

Us par paisā kyuṅ ḳḥarch karte ho jo tumhaarā khaanā naheeṅ hai,

aur wo mehanat kyuṅ karte ho ki jis se tumheṅ sukun naheeṅ miltā?

Suno, merī baat dhyaan se suno, aur wo khaao jo accẖā hai,

aur tumheṅ lazzatdaar khaane kā mazā āegā.(2)

Merī baatoṅ ko bahut dhyaan se suno;

agar sunoge, to ho saktā hai ziṅdagī ko haasil kar lo.(3)

 

6-13

Allaah rabbul azeem ko talaash karo;

usī ko pukaaro, abhī wo tumhaare bahut qareeb hai.(6)

E gunaahgaar logoṅ buraaī ke raaste se haṯ jaao,

aur apnī burī soch ko badlo.

Agar wo Allaah taa’alā kī taraf lauṯ gae, to wo un par raham karegā

aur unheṅ khule dil se maaf kar degā.(7)

 

Hamaarā rab farmaatā hai ki uskī soch hamaarī soch se behatar hai

aur uskā tareeqā hamaare tareeqe se accẖā hai.(8)

“Jis tarah ye āsmaan zameen se bulaṅd hai,

usī tarah se merā tareeqā bhī tumhaare tareeqe se bulaṅd hai

aur merī soch tumhaarī soch se.(9)

 

“Jis tarah se baarish aur barf āsmaan se neeche ātī hai,

aur zameen ko binā bhigoe waapas naheeṅ jaatī.

Taaki usse zameen par kaliyaaṅ phuṯeṅ aur phaleṅ-phuleṅ,

aur beej nikle, aur khaane ke liye anaaj paidā ho.(10)

Isī tarah se merā kalaam,

mere paas kabhī ḳḥaalī waapas naheeṅ ātā.

Balki wo hotā hai jo maiṅ chaahtā huṅ,

aur wo us kaam ko purā kartā hai jiske liye maine use bhejā thā.(11)

 

“Tum ḳḥushī se nikloge,

aur tum salaamtī se āge baḍhoge.

Ye pahaaḍ aur pahaaḍiyaaṅ tumhaare saamne naġmeṅ gaaeṅge,

aur maidaanoṅ me lage sab peḍ taaliyaaṅ bajaaeṅge.(12)

Kaṯeelī jhaaḍiyaaṅ naheeṅ, balki baḍe peḍ ugeṅge,

aur kaaṅṯeṅ naheeṅ phul waale peḍ nikaleṅge.”

Ye sab Allaah rabbul azeem kī shaan ke liye hogā,

aur kabhī n ḳḥatm hone waalī nishaanī ke liye,

jo hameshā baaqī rahegī.(13)